Ringhoda village Untouched nature Ramnagar (Nanital)

Tripoto
14th Oct 2022
Photo of Ringhoda village Untouched nature Ramnagar (Nanital) by Vinitbloger
Day 1

Hi friends Today I am going to take you on Untouch Location of Nainital in my travel blog, so friends, I am telling you from my day first
1st day 14 oct 2022
Roz ki tarah Humari corporate jindgi se pareshan hokar maine ek dost k sath  Uttrakhand ( dev Bhumi) jana ka plan Kiya,
Sam 7 baje main or mere ek office friend Mukesh jha dono ne Nainital k liye nikal gye, Friday evening me Gurugram se delhi cross krte krte 9: 30 Sam baj  chuke the,
Apni choti si car me Merut expressway se hote huye Ramnagar jane ko jada samay nahi laga lagbhag rat 2 baje hum Ramnagar me the,
Ab ye Saturday 15 oct 2022 ki subah ho chuki hai,

Ram nagar pahunch kr Hume garma garam chai pi Ram nagar bus stand k pass itni rat ho garm chai ka mil jana ek alag sa sukun de raa tha,
Chai pine k bad maine apne ek purane dost ko phone kiya jise maine pehle hi apne aane ka plan bata chka tha jo ki wo mere liye koyi rukne ka intzam kr de,
Mera dost euttarakhand tourism name se travel agency chalata hai,
Uttrakhand ya fir keh skte hai Jim Corbett me stay karne k liye isse behtar kuch nahi ho skta tha ki aapka koyi janane wala aapko uttrakhand ki sair karaye
Mere purane dost Samarth ne mere liye Seven heaven resort ki booking pehle se kr diya tha,
Jo mujhe Ramnagar pahunchne k bad pata chala,
Ye approx 8 km dure tha, uttrakhand ke chote kasbo or gaon se hota hu 8 km ka safar rat lagbhag 3 baje ek alag se adventure sa lag raha tha,

3:15 am resort pahunch ke humne room liya or ye so Jaye

Photo of Ringhoda village Untouched nature Ramnagar (Nanital) by Vinitbloger
Photo of Ringhoda village Untouched nature Ramnagar (Nanital) by Vinitbloger
Day 2

Morning me 7 baje uthe to dekha wo Resort apne aap me bahut sari khushiyan batore huye tha,
7 modern huts, with Lawan and swimming pool, chari taraf hariyali hi hariyali, pollution se dur pakchiyo ki har aawaj saf saf sunayi de rahi thi, resort se piche se ye pahadi barsati nadi beh rahi thi ji aawaj ki gane k dun jaisi lag rahi thi,
Hum sehri logo k liye se sant si subah kisi swarg se kam nahi thi,

Morning me 7 baje uthe to dekha wo Resort apne aap me bahut sari khushiyan batore huye tha,
7 modern huts, with Lawan and swimming pool, chari taraf hariyali hi hariyali, pollution se dur pakchiyo ki har aawaj saf saf sunayi de rahi thi, resort se piche se ye pahadi barsati nadi beh rahi thi ji aawaj ki gane k dun jaisi lag rahi thi,
Hum sehri logo k liye se sant si subah kisi swarg se kam nahi thi,
Kuch der lawn me walk krke apni sari thkawat Mita lene k bad sath hi taro taza hone k bad hum dono ne aaj ka safar par nikalne ki tayari suru kr di,
Kuch hi dur per mere dost ne mujhe tanduri kullad(mitti k cup) chai k liye bulaya tha, humne morden nasta na krke kullad chai or aaloo parathe ka nasta krne ka socha,
Or fir hum pahunche Rihonda village jo ki Ramnagar se Corbett sitabani gate k rast me,
Wahan per humne Aaloo Paratha and kullad chai ka sawad kiya,
Subah ki thandi thandi hawa or swadist nasta apne aap me khusi ka anubhav der raha tha,
Ab tk samay subah k 9:30 baj chuke the,
Jim Corbett ki safari ride, humne evening me plan Kiya hua tha to ab humare pass tha Sam 4 baje tk ka time,
Socha ki tb tk hum aas pass ki kisi location pe tracking k lete hai humare travel experience ko or bada skti thi,
Jb samarth ko humne is bare me bataya to usne Hume ek local guide provide kr diya,
Aisi location pe travel guide Milne se tracking ka safar or bhi accha ho jata hai jahan k bar me aap jada kuch nahi jante,
Kyuyi local guide aas pass k gaon se hi hota usse aas pass ke village ki khubsurt jageh ka pata hota hai,
Local guide ( Ganesh Rautela ) jo ki ek graduation ka student tha and sports me cricket khelta tha, kuch pocket money k liye or new cricket equipment k liye kabhi kabhi taravl guide ka kam bhi krta tha ,
Jaldi hi Ganesh humse dost ki tareh bat krne laga or fir usne un jagaho ka bate suru ki jo wo hume dekhane le ja raha tha,
Location zero point,
Zero point k liye hume main road se 3 km niche Jana tha jo ki ek pathrila or bahut skra rasta tha, ye small size trees k bich me se jana tha, Ganesh ne bataya ye rasta elephants use krte hai Pani pine jane k liye,
Zero point ek light house jaisa tha puran or ghane jangal me bana ek two floors house jo sayad 100 purana ho skta hai,
Ganesh batata hai yahan forest Ranger kabhi kabhi aate hai nahi to ye khali hi rehta hai,
Zero point se 100 meter door ek river front tha  kosi nadi, ye barsati nadi bhi kahi ja skti hai, nadi ye samtal se karib karib 60 ft uper ek pathrile pahad se nadi Kali pade kinare or Hara jangal neele aasman k niche dekhne prikrtik k aanotha sangam tha, ye dur se aati nirmal hawa, chehre ko chu kr parkarti ki god ka anubhav karwa,
Zero point ke bad hume jana tha dur se dikhayi dene wali Kosi river k pass,
Kosi nadi Corbett se nikalni wali barsati nadi hai, ye barsat me bahut sare Pani k sath behti hai, pahadi se wapis kuch dur aake nich jane ka ek kaccha rasta dikhayi de raha tha, humne us raste je jane ka plan Kiya,
Nadi tk jane ke, retila rasta tha jisme 4 or bhi kam Pani wali Nadiya thi jinhe cross krke jana tha,
Bs yahi advanture hume chahiye tha, or hum nikal pade Pani mechale hu,
Approx 30 min bad hum kisi nadi ke kinare the , ye waqyi aanad wala pal tha, humane apne bag packs rakha or chain se baith gye,
Ab tk approx 12 baj gye the bahut si photos lene k bad hume wahan moz Masti ki,
Tracking pe jane se pehle hume kuch fast food sath le aaye the, or maggi banane ka Sara saman bhi,
Humara guide ab behtarin cook k bhumika me aa gya tha,
Bade pahadi patther or kuch sukhi lakdiya jutane k bad hum wahan pe maggi banane or khane k liye taiyar the,
Bade pahadi patther chulhe ka kam kr rahe the or lakdiya fuel ka,
15 se 20 min bad muhare liye swadist maggi taiyar thi, humne waha maggi khaya and ko 2 ghant wahan bitane k bad fir se wapsi k liye taiyar ho gye,
4 baje humari Corbett Safari ki Jeep humne kundan ki shop pe hi bula liya tha, safari me kuch khas to nahi but monkey and deer dikhayi diye,
2 ghante k safari krne k bad Hum ab thak chuke the