Uttrakhand road trip

Tripoto
18th Jun 2019
Day 1

Me ek music teacher hu or ek music school chalata hu. Subah ke 3:30 baje the mujhe neend nhi aa rhi thi, Raat ko barish bohot tez hui thi or ab bhi ruk ruk kar ho rahi thi,  jiske karan june ke mahine mein bhi mausam bohot hi Achha tha, lekin neend na aane ki vajah se me bohot bechain tha, agle do din humara week off tha to karne ko koi kaam bhi nhi tha sivaay practice ke. Achanak khayal aaya ki Kyu na Long drive pe jaya jaye. Fir kya tha family me 3 hi members hain me meri wife Or meri beti unko jagaya Or kuchh thode bohot kapde pack kiye Or nikal pade, bina kisi planning ke, kaha jana hai nai pata bas itna tha ki aas pass koi hill station tak drive karke vapas aa jayenge  . To pehla plan rishikesh ka tha, fir meri beti (jo gaadi ke peeche vaali seet par baithi thi) boli Lansdowne chalte hain. Or aise humari gaadi ka rukh ho gaya Lansdowne ki taraf. Kotdwar Dugadda se hote hue Lansdowne Or fir vaha ka mashhoor tip in top jo ki 1750 meter ooper hai, jahaan vaadiyan aapko apni khubsurti mein bandhak bana lengi, agara aap delhi ya aas paas se hai or ek long drive pe jana chahte hai to is se Achha option koi ho hi nai sakta aapko advance  hotel booking bhi nhi karani padegi aap seedhe jake bhi book kar sakte hai. Yaha aapko 3 star hotels Or camps bhi mil jaayenge joki bohot kam daam me hote hain. Haan tip in top se pahle hi aapko kuchh option dekhna hoga kyuki army cant area hone ki vajah se aapko cant area me hotels nai milenge. Vaadiyon ki sundarta Or unse gale milte badal maano hume apne aap me kaid kar rahe the humne socha tha sirf ek hi din ka tour karenge par us khubsurti me kaid hone ke baad humne ek raat yahan rukne ka faisla kiya Or ek camp book kar liya (Eden river side camp) jo ki ek sunder si bahti hui  pahadi nadi ke kinare tha jo apne aap me bohot sari khubsurti samete hue tha. Inka khana bhi bohot achha tha, raat bhar drive fir din bhar ghumne ke baad hum bohot thak chuke the to bistar pe jate hi so gaye. Agli subah jab soke uthe to aisa laga maano kudrat ne khud apni baahen faila ke hume apne seene se laga ke jagaya ho or apna haath humare sir per ferte hue maano humari saari thakavat door kar di ho ek nayi tazagi Or umang ke saath ghumne ki humari lalsa Or jada badh gayi. Lekin agle din hume  vapas lot ke kaam bhi dekhna ths to dugadda se rishikesh hote hue dilli  ghar vapas lotne ka faisla kiya.is se humara vadiyon me ghumne ka safar bhi ho jata Or ghar bhi time se vapas aa jate.

Day 2

Dugadda to rishikesh

Dugadda to rishikesh jada tourists nai jate to 100 km  ka ye safar me traffic to tha hi nai kabhi kabhi koi local gaadi ya jeep dikh jati thi ya to bas khubsurat vadiyaan itrarti hui hume bar bar gaadi rok kar photo khichne par majboor kar rahi thi, kabhi hum badlo ko neeche se jate hue dekhte to kabhi badal ooper aake hum par hans dete to kabhi halki barshi karke hume bhigone ki koshish karte beech beech me chhote chhote gaanv Or vahan ke seedhe saade log, kya kahna. Ek chhote gaanv me humne chai peene ke gaadi roki Or chai ki chuski lete hue pahaadon ko niharne lage to chai ki dukan vale uncle ne bola ke is taraf tourist nai aate aap yaha kaha ghum rahe ho mene kaha ke bas aise hi drive pe nikle hai, is par vo thoda sa muskura diye.Iske baad fir se humara safar shuru hua Or rishikesh hote hue vapas apne ghar aakar humne un haseen vadiyon ko bye kaha..

Photo of Uttrakhand road trip by Sonu Bhati
Photo of Uttrakhand road trip by Sonu Bhati
Photo of Uttrakhand road trip by Sonu Bhati
Photo of Uttrakhand road trip by Sonu Bhati
Photo of Uttrakhand road trip by Sonu Bhati
Photo of Uttrakhand road trip by Sonu Bhati
Photo of Uttrakhand road trip by Sonu Bhati