Yaaron Da Kaafila

Tripoto
4th May 2019
Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 1

यारों दा काफिला :- एक दिन कुछ पढ़ा की 30 की उम्र से पहले घूम ले ये जगह... सोचा और ठान लिया अपने सफर को तय करना |

Moterable bike trip Delhi to ladakh. 2016
जीवन मे घूमना बहुत ही जरूरी होना चाहिए अपने  आत्मविश्वाश  और  खुशिओ को बरकरार रखने के लिए | जिंदादिली का एक नाम है घूमना |

बाइक रॉयल एन्फील्ड  500 cc
दिल्ली से लद्दाख,  दिन 15 तक |

DELHI – CHANDIGARH : 18/06/2016

LEH jaane ki saari taiyaariya ho chuki thi hum logo ne Do enfield KarolBagh se 750/- rs rent par Li aur evening me Sandeep Bhai ke room par khadi kar di.
LEH trip hum logo ka takriban 12 se 15 dino ke beech rahne wala tha. Apna apna office khtam kar sab raat me Sandeep ke room par pahunche.
LEH hum 6 Doste jaane wale the 1. Sandeep 2. Saurav 3. Vishant 4. Amit 5. Sourabh 6. Pankaj.
Raat kareeb kareeb aadhi beet chuki thi par kisi ka ek bag tak nahi pack tha.sab apni apni masti me mast jaane ke sapno ko dil me liye bas baton ke kile banane me mashgool the.
Finally office ki thkaan or subah jaldi niklne ki wajh ne sone ko majboor kiya.. 2:00 A.M. sab 3 ghante ki neend lekar subah 5:00 A.M.  uath kar fresh huye packing kar humne apni apni bikes par fix kar diya or prabhu ka naam lekar nikal pade apni raah par.
Sonipat ruk kar ek dhabe par hum logo ne apna breakfast kiya or rawana huye Delhi-Chandigarh Highway NH1 se hum hote huye 1:00 PM hum chandigarh bypaas se nikle or aage lunch ke liye dhabhe par ruke lunch kiya or kuch der rest kar manali  highway par chal diye.
shaam dhlte hum Sundernagar pahunche or apna pahle din ka dera yaha dala. Iue

Delhi chandigarh highway

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 2

Delhi se SunderNagar(HP) ki Doori kareeb 410 KM hai.
Aaj raat hum log Sundernagar town me ruke yah ka khana or rahna hum kabhi nahi bhool sakte humara pahla or sabse Zordaar Experience yahi ka hai.
Wo rooms jis bhi mahaan Thekedaar ne banwaye uska pata koi naa jaane wahi theek rahega. Poora room swimming pool ki tarah paani se bhar gaya.khana to mahsaah aalaah tha Swaad esaa hi aapki thakaan gusse me badal jaaye par kya karain sab maaf tha hamaari ghoomne ki Talab ke aage.

Aage ka safar bada hi Dilchasp or Drawana hone wala tha. Sbah sab log breakfast kar manali ki taraf nikle. Kuch door chal kar enfield showroom par apni apni bikes check karwa kar hum chal diye.

सुन्दरनगर हिमाचल

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 3

Sundernagar se manali ki doori kareeb 130 KM hai NH3.
Sunder nagar pahunchne se pahne hum log yaha ek river ke paas ruke. Nahaye or kuch pics click ki yaha bhaut hi sunder nazara tha. Yaha ke paani me nahaa kar poora din ki thakaan utar gayi. Jaise refresh hog ye ho hum log. Thodi der baad hum log fir apni apni bikes se aage nikal pade.
Yaha se kuch door aage aane ke baad hum logo ne ek dhaabe par aaj ka lunch kiya or kuch der rest kar hum aage ke safar ki aur nikal pade.
Manali se kareeb 6 KM pahle ek Doctor ka ghar hamara aaj raat ka thikana tha. Kareeb 300/- me ek choti si land rent par hum logo ko apne tent lagane ke liye jagah mil gyi thi. Humne waha apna dusre din ka dera jamaya or dinner khtam kiya. hamara aaj ka dinner master shef Saurav ne taiyaar kiya…jisme usne aadhe chawal faila diye or daal me haath maar kar sab rayta faila diya…bacha kuch jo mila use khaa kar humne apni poore din ki bhookh shaant ki or nadi kinaare apni aage ki planning me ek naya rang bharne lage.
Mosam kaafi thanda ho gaya tha hum apne apne tent me aagye. Thakaan itni thi kon kaha soya kuch pata nahi subah sabko sabki location ka pata chla…
Subah sab fresh hokar manali ki taraf nikle aaj hummain yaha apni bikes ka LEH trip ke liye reg. karwana tha. 200/- per bike permission mili yaha hum logo ko 12 :00 PM tak time lag gaya yaha se free hokar hum log breakfast kar ke Rohtang Pass ki taraf nikle.
First check post GULABA post par permission check karwa kar hum Rohtang Pass ki taraf chal diye. ROHTANG PASS (Mountain pass in INDIA) : Rohtang Pass is a high mountain pass on the eastern Pir Panjal Range of the Himalayas around 51 KM from Manali. It connects the KULLU Valley of Himachal Pradesh,INDIA
Elevation : 3,979 m (13,050 ft) LEH-MANALI highway. Rohtang behad khoobsurat or thandi jagho main se ek hai.yaha ki waddiyan yah ka mosam dil ko choo lene wala hai. Raste kaafi khtarnaak or ghoomaw Daar hain. Duniya ke alag alag kone se log yaha ki khoobsurti ko dekhne yaha aate hain. Pal me yaha mosam apna rang badalta hai. Hare bhre pahado ke beech behad sunder si ye jagh jaise swarag ka ahsaas dilate hai. Yaha ke raaste sadke kaafi aachi par kaafi choti pahado ko kaat kar banayi gyi hain.

मनाली व्यास नदी

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur

मनाली - रोहतांग मिडवे

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur

मनाली रात्रि विश्राम और डिनर

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur

रोहतांग दर्रा दृश्य

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 4


Manali se Sissu ki doori kareeb 85 KM hai. (Lahaul-Spiti Valley Distt.)
Bank of Chandra River(10.234 ft) Rohtang Pass pahunch kar hum logo ne kaafi photos click ki yaha ke mosam yaha ke manmohak nazaron ka anand liya. Mosam bigdne se pahle hum aage nikal chle.

Kareeb 10 KM aage Koaksar Village kaafi bekar or durgum raste keechad or paani se bhara hua rasta kaafi safty se hum log yaha se hote huye ek local shop par restaurant par lunch karne ruke.

सिस्सू टॉप का दृश्य

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 5

KOKSHAR to SISSU at 10,270 ft (south bank of CHANDRA river)

Yaha kaafi log jinhe LEH jana tha unka jamawda tha. Kuch logo ke saath causality huyi…kuch ke trip fracture or accident ki wajh se bigad gye ye hummain personally aacha nahi laga. Aakhir hum unhe himmat or dilasa dekar aage apne raste ki or chal diye. Dophar ke 2:00 pm baj chuke the hume jitna ho sake utna rasta abhi khtam karna tha. Kaha ruknge kahaa apna tent lagayenge abhi hummain kuch nahi pata tha.

सरचू का मनोरम दृश्य

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur

केलॉग लेह का दृश्य

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 6


Mosam bhi kaafi thanda tha par samay ki nazakat ko dekhte huye hum rawana huye. Evening  kareeb 5:00 pm hum Sissiu Village pahucnhe. Yaha ke raaste kaafi aache or mazedaar the. Mosam kaafi aacha or lubhawna tha. 

Yaha hum dostoso ko bike riding ka asli maza aa raha tha. Yaha humne jee bhar photos click ki yaha ke sundar jharno or chote chote villages or log chote baache sab kuch dil ko choo lene wala tha..Sissu Village me hum logo ne apna aaj raat ka dera jamaya. Yaha ek location dekh kar humne waha apne tent lagye or raat ka dinner banaya.

Yaha hamaare stove ka volve khrab tha sabne apni engineering uss stove ko theek karne me lag di par wo theek nahi hua jaise taise kuch khana banaa useee hum khaa kar apne tent me so gye…yahaa raat me kaafi tez thand ho gyi thi jo hummare sleeping bag se bhi control nahi ho paa rahi thi.

सिस्सू टॉप

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur

चंद्रा नदी

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur

Aakhir subah huyi or bhar ka nazara dekhne layak tha. Ek taraf jharna tha to dusre taraf safed chadar me lipta sundar pahad. Barf ki halki halki rooyi si boonde yaha hum logo ke beech apna ek alag hi khel khel rahi thi. Yaha ki sunderta dil choo gyi hamara…maano humme iss jagh se payaar ho gayaa ho.

Aakhir subah huyi or bhar ka nazara dekhne layak tha. Ek taraf jharna tha to dusre taraf safed chadar me lipta sundar pahad. Barf ki halki halki rooyi si boonde yaha hum logo ke beech apna ek alag hi khel khel rahi thi. Yaha ki sunderta dil choo gyi hamara…maano humme iss jagh se payaar ho gayaa ho.

Hum Chandra River  ke paas fresh huye apna samaan pack kiya or Bikes par load kiya or aage ke safar par nikal pade. Yaha hmne kuch chote baacho ke saath apna bachpan bata kuch pal waha ruke unke saath apni khushiya baati or aage nikal pade.

Day 7


Sissu Village se Sarchu Village ki Doori kareeb 135 KM`
Sissu se nikal kar hum log  Keylong 35 KM village pahunche  ye raasta kaafi bekaar…shyed yahaa kuch kaam chal raha tha…B R O ke jawan yahaa sadar suraksha or sefty ke liye yaha hamesha lage rahte hain.
Yaha se aage badh kar hum kuch door  par breakfast ke liye ruke jaha humne chowmeen aalu payaz ke parathe ka nashta kiya. Apne apne mobile charge kiye yahaa hum kareeb 2 ghante ruke or tez niklti dhoop ka bhrpoor anand liya. Fir hum aage ke safar par nikal pade…

सरचू का दृश्य

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 8

KEYLONG se Kareeb 10 KM ke Distance par THANDI petrol pump tha.
THANDI 8,430 ft two rivers here CHANDRA RIVER & BHAGA RIVER
THANDI to KEYLONG 10,100 ft
THANDI petrol PUMP ye hamaare safar ka aakhri petrol pump tha jahaa humne apni apni bikes ke tank full karwaye or alag se cane me petrol full karwa liya…kareeb 345 KM KARU par petrol pump hone ki wajh se hummain ye karna jaroori tha.

Aage ka safar bada hi romanchak tha…bahti nadiya jharne pahaad ,hare bhare maidaan or sunder waadiya sab kuch dil ko choo lene wala tha.
Sundrta ki dusri paribhasha bas yahi dekhne ko milti hai.yaha kuch duri par raaste kafi khrab bhi the to kuch kuch doori par kaafi aachi sadke or aache raaste the.

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur

THANDI se 12 KM par JISPA village(10,860 ft) aaya ye kaafi sunder or hara bhra tha yaha chote chote sunder village yaha kaafi aache the. Yaha se kareeb 7- 16 KM doori par DARCHA – PATSIO village (11,020 ft) jaha humne kaafi photos click  kari. Yaha se ZINGZING BAR River 10 KM ki doori par hai.  Yaha se hum BARALACHA PASS (16,500 ft) yaha do rivers milti hain . bada hiu sunder nazara hai yaha par. BARALACHA PASS (16,500 ft) se BHARATPUR  kareeb 2 KM par hai. Yaha se SARCHU kareeb 38 KM ki doori par hai. KEYLONG se ZINGZING BAR (4,270 ft) ke beech me kaafi camp or local rukne ke liye small houses hain…local area kaafi aacha tha. Yaha se hote huye hum log evening me SARCHU Village pahunche.

THANDI se 12 KM par JISPA village(10,860 ft) aaya ye kaafi sunder or hara bhra tha yaha chote chote sunder village yaha kaafi aache the. Yaha se kareeb 7- 16 KM doori par DARCHA – PATSIO village (11,020 ft) jaha humne kaafi photos click kari. Yaha se ZINGZING BAR River 10 KM ki doori par hai. Yaha se hum BARALACHA PASS (16,500 ft) yaha do rivers milti hain . bada hiu sunder nazara hai yaha par. BARALACHA PASS (16,500 ft) se BHARATPUR kareeb 2 KM par hai. Yaha se SARCHU kareeb 38 KM ki doori par hai. KEYLONG se ZINGZING BAR (4,270 ft) ke beech me kaafi camp or local rukne ke liye small houses hain…local area kaafi aacha tha. Yaha se hote huye hum log evening me SARCHU Village pahunche.

Yaha humne raat camp me stay kiya 800/- per bed yaha humaari rukne ka arrangment hua. Kaafi aachi jagh thi kudrat ki banayi apni panting shyed aapne kahi dekhi nahi hogi yahaa esaa hi kuch dekhne ko mila hum logo ko. Hamaare kuch dost iss sunderta ko dekhne raat me bikes lekar ghoomne nikal gye..kaafi tez thand or kati hawa or badalta mosam or oxgion ki bhaari kami in sabke baawjood hamara romanch kum nahi karne wala tha. Khana khaa kar raat ko hum log so gye..raat me oxgion ki kami se hum logo ki yaha 10 baar neend tooti hogi.mosam bhi kaafi thanda tha….subah garam paani se naha dhokar hum yaha se aage ke liye nikle. SARCHU army POST par check karwa kar humne waha apne gharo par army permission se fon kiye. Kuch der ruk kar garm paani pee kar hum apne safar ko aage ki or badhane ke liye bikes par nikal pade.
21/06/2016
SARCHU se LEH doori kareeb 260 KM ki doori hai.
AAj hum log LEH pahunchne ki khushi me the. Hum SARCHU ARMY POST se nikal kar thoda aage pahunche yaha se JAMMU & KASHMIR STATE me enter karne ko taiyaar the.yaha humne J&K post par checking karwa kar aage ka rasta taye karna shuru kiya….kuch door chal kar humne yaha kaafi aache pics click kiye.yaha humne ruk kae ek jagh meggi bhi banayi jahaa humne apne stove ko teez hawaao ke beech chaalu kar ke meggi ka kaam tamaam kar diya .yaha se hum garam paani pee kar or bhaga river me saare bartan dhoo kar aage nikal pade.

पांग दर्रा

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Day 9

Yaha se kareeb 80 KM par PANG Valley or GATA LOOPS (13,750 ft) par pahunche waha humne kaafi khoobsurat nazara dekha…nature or valley bhaut hi khoobsurat thi yaha. Yaha humne kaafi pics click ki or aage nikal pade.
Yaha se aage NAKEE LA PASS (15,547 ft) or LACHULUNG PASS (16,616 ft) se hote huye hum log PANG POST par checking ke liye pahunche.
Yaha se hum log MOREY PLAINS ke lambe or plain rasto se hote huye duniya ke sabse hight wale TANGLANG LA PASS (17,480 ft) par raat 7:00 pm tak pahunche yahaa kaafi tez thand thi or dar tha hum logo ki bike ka kahi petrol khtam na ho jaaye…or hua bhi yahi kuch door par vishant wali bike ka petrol khtam ho chuka tha…thand kaafi tez ho gyi thi dono tarf sadak ke baraf ki moti moti parat thi or tez thandi hawa chal rahi thi. Yaha hum logo ne can se petrol  fill kiya or pics click kar jaldi jaldi  aage nikal pade.yaha rukne khatre se khaali nahi tha. Yaha se 60 KM ki doori par UPASI village  hote huye hum log KARU 16 KM par pahunche. Yaha INDUS river hamaare saath saath bah rahi thi. Raat hone ki wajh se humme sirf uski tez aawaz hi sunayi de rahi thi. Yaha ki roads kaafi aachi or behdtreen  thi. Yaha se hote huye hum log LEH pahunche (11,483 ft) kareeb 35 KM door leh city  pahunch kar humne kareeb 11:00 bje guest house liya. ALTITUDE sickness ki wajh se hum log kaafi tirdness feel kar rahe the.yaha hum khana wana khaa kar so gye.
22/06/2016
Yaha aaj ka Din hamaara Bikes service me hi nikla. Evening me hum logo ne poora LEH market local LEH Village poora dekha.LEH kaafi aacha sunder hai yaha ke log bhi kaafi aache hain.
23/06/2016
AAj hum LEH or AAS paas ki jagh dekh kar aaye…kaafi aachi jagh thi log kaafi aache the yaha se hum log subah breakfast kar ke WORLD RISKY ROAD KHARDUNGLA PASS(18,380 ft) jaane ke liye nikal pade.
Humne yaha SOUTH PULLU (15,300 ft) check post par permission li or aage nikal pade. Yaha ka road kaafi bekaar or khtarnaak tha. Yaha se hum KHARDUNGLA PASS pahunche waha pahunch kar humme kkaafi aacha mahsoos hua. Hum duniya ke sabse highest pass area me the. Humne yaha desh ke sainko se bhi baat ki. Or yahaa unki post par garma garam pakode khaaye. Yahaa aana hamaare jeevan ka sabse alag or dilchsp experence me se ek tha. Yaha se hum dobara apne aasiyane room par aa gye yahaa humne khoob masti maari. Agle din hum logo ko PANGONG LAKE ke liye niklna tha isliye hum log aaj ladi so gye.
24/06/2016
Hum log aaj breakfast kar pangong lake ke liye nikle. Ye safar hamara KARU se hokar tha…hum apne safar par nikal chuke the. Yhaa aakar hamaari bikes se jawab de diya tha…tab yaha INDIAN ARMY ke jawan kaam aaye. Unhone hamra aadha samman apne paas rakh kiya help ki or aage jaane ka rasta dikhaya. Yaha se hum safar taye karte hu kareeb 60 km pahle ek jagh ruke yaha humne ek guest house kiya..or fir PANGONG LAKE ke liye nikal pade..shaam hote hote hum waha pahunche or wahaa ke sunder nazare ko apni aankho me kaid kiya. Ye LAKE kaafi sunder or behad lubhawni thi. Yahaa se nikal kar hum log apne guest house par aaye yaha humne khana khaya or baato ke pul banana chaalu kiya kab neend aayi kisi ko kuch pata nahi.. subah hum log uthe or jaldi hi LEH ki or nikal pade. LEH ruk kar hum logo ne lunch kiya or  DELHI-KASHMIR highway ki or nikal pade.

Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur
Photo of Yaaron Da Kaafila by Sourabh Gaur