Banarovers

Tripoto
15th Nov 2021
Day 1

Please like jarur Kare....

Hlo friends, my self Kamal from Delhi. Aaj main apke sath apna Banaras ke tour ki kuch yaadain or experience share kar raha hu.

Aapko Banaras jane ke liye best option train ka dunga, New Delhi se kafi trains hai Banaras ya Varanasi Jane ko. Banaras akr aap assi ghat ke pass stay kare kyuki apko yaha se morning, evening and night ka enjoy karne me easy rhega. Assi ghat ke pass aapko kafi hotels/guest house/rest room mil jaynge.

Aap room lekr refresh hokar assi ghat ja skte hai, waha aap ghat par nariyal pani, chaat, bhel puri, burf ka gola, chai or boating Enjoy kar skte hai....... Banaras jaye or Ganga aarti na dheke to Banaras jana bekar hai. Aap personal boat ya sharing me ja skte hai jiske liye apko evening me 6 baje boat hire karni hogi, taki 07 baje ke aarti jyada najdik se or rush se bach kar aarti dhekne ka mauka mil sake.

Aarti ke baad aap assi ghat pr h dinner ka plan kar skte hai, yaha aap heavy and light food le skte hai or Banaras ki shaan Paan nhi khaya to dinner ka enjoy adhura rahega.........

Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Photo of Banaras by Kamal(earthmover)
Day 2

Next day, agr aap daily apne ghar ke breakfast se kuch different breakfast fast karna cahate hai to morning me 07 baje aap e-riksha karke market ja skte hai waha apko, puri sabji, kachori, lassi, rabri, malaiyo (winter me) garm dudh or galebi ka heavy breakfast kar skte hai.

Hotel se nikale se phle aap decide kar le aap koun koun se places explore kar sakte hai.....taki apki timing bhi bani rhe or aap best places explore kar sake.... Aap phle sankatmochan hanuman madir jaye, hotel se nikale time apne sath ek chota backpack Carry kre taki mobiles and belts submit kra sake, yaha aap one ya two hours bita sakte hai, iske baad aap durga mandir, or talab wala lal mandir bhi dhek sakte jo ki sankat mochan ke near hai,

Iske baad aap kaal bhairav temple jaye, manyta hai ki agr kashi mandir ke darshan karne hai to phle Kaal Bhairav jarur jana chaiye, yaha apko Shiv ke avtar Kaal Bhairav ke darshan honge, mandir ke raste me apko ek choti se market milegi jaha aap apne mann anusar shopping kar skte hai. Yaha aap halka fulka khana kha sakte hai. Aap jitna lite food lenge utna aap jyda chal skte hai,

Yaha ke baad aap Kashi Vishwanath Temple ja sakte hai, apko yaha e-rikhsha mil jayge jo 150-200 Rs. me apko Kashi Vishwanath le jynge....... Kashi se phle aap pyaz, mirch,tamatar,baingan,aalo, bread pakora kha skte hai jo apko aage ki travel krne ka maza degi. Aap kashi ki taraf jate samay gali me koi lockers milenge jaha apka mobile, pen sab kuch submit ho jayga, lockers facility apko kafi mil jaygi, parshad lekar aap phle Maa Annpurna ke temple fir aap Kashi vishwa nath ja skte hai waha apko ek alag h anubhuti hogi ki aap vakayi me Bhole ke nagri me aa gye. Aarti ke time mandir me thora rush mil skta hai. Bhole ka naam lekar apka time kab nikal jayga apko pta nhi nhi chalega..... Kashi Vishwanath shiv ling ke darshan kar aap khud ko ek positive energy ko mehsus krenge. Vapsi me aap garm dudh or jalebi ka luft le skte hai.

Night me aap assi ghat ke pass h food explore kar sakte hai jaise bati chokha jo ki waha ke best food hai

Photo of Banarovers by Kamal(earthmover)

Day 4

Third day aap apne sath water bottle and cap rakhna na bhule, ab aap ja rhe hai Sarnath. Jaha aap assi se ghat se 2 we 3 ghante ka distance by auto se cover kar pahuch skte hai. Sarnath pahuch kar aap Japani temple, Budha temple or famous Handcrafted work ke shop dhek skte hai. Yaha apko Ashoka samrat ke dwara banya gya. Yaha aap apna pura din ghum skte hai or historical places ke information le skte hai.

Friends meta itna hai experience tha, main koi bloger to nhi, pta nhi apko sahi tarike se information de paya ya nhi, lekin jitna shmja utna apke sath share kiya.