Life in a Mumbai Local

Tripoto
6th Jan 2020
Photo of Life in a Mumbai Local by Nauman
Day 1

A story/emotion expressed in a poem when I met a group of aged people who travel daily through same train and in the same coach of Mumbai Local.
For the first time I unplugged my earphones and just listened to them, even had a conversation for a minute or two. I regret that I didn't get a chance to click their picture.
Anyway, Here's the Poem:

Chale the hum kuch ghanto k safar par
Apne mobile ka sahara liye,
Aaye hai ghar aaj fir
Ek yaadon ka pitara liye.

Kuch aise dosto se mulaqat hogayi aaj
Jo umr me buzurg aur tajurbe me ameer the,
Haste muskuraate un chehro ko dekh
Unki baato me - hum ghum hogaye the.

Ek ghante ke safar me bhi
Wo khushi se apni kahaniya bata gaye,
Bina kuch likhe unki yaadon ka bhandaar
Humari aankho ko dikhaa gaye.

Aur log inhe bojh samjh kar akele chod jaate hai,
Heere ko koyle ki khaan me chod kar,
Duniya ki daulat dhoondne nikal aate hai.

Khush naseeb hai wo jinke gharme buzurgo ka saya hai
Tajurba is zindagi ka jo buzurgo ke kisso me hai
Wo koi naamcheen  kitaabo ke anginat panno me bhi nahi aaya hai..
                                      -Nauman Chicktey

#LifeOnATrain

Photo of Life in a Mumbai Local by Nauman
Photo of Life in a Mumbai Local by Nauman